amliyat


Taskheere Rooh Aik jin ka bataya hua


Wazo karlo. Pir apne samne aik saf pani ka bartan rakho. us mai pani dalo. 101 ya 303 martaba sura kausar parho.

pani mai say aik rooh nikle ga aur apko kahay ga kia hukam hai. tum apna jaiz kam usko bta dena

Asmaul Husna ke amliyat 

agar ap sahe mano mai aik ism k bhi amil ban gai tu Allah ki buht bari nawazish hogi tum par. malo dulat barkatain ap par nazil hongi. amal karte waqt koi ghair sharai kam nahi karo gay. zina, haram khori, sood aur film cinema se parhaiz karna paray ga.

Ya Rehman

ya rehman ka amil banne k liye apko 11728 martaba rozana parhna pare ga 40 din tak. Mushkilat ka hal bimari is ism ki bari khasosiat mai se hain.

Ya rahemo

9375 martaba rozana 40 din tak

Ya quddoso

10000 martaba rozana 40 din tak. ye ism rohani amraz yani bughaz kina hasad aur blood pressure k liye buht moasar hai.

Ya Jabbaro

11000 maratba rozana 120 din tak. ye ism dushmano, jado aur zalimo se bachne k liye buht pur asar hai.

Ya razzaqo

11000 martaba rozana, apko 11 chillay karne paraingay. chillay mai ap 3 din ka nagha kar sekte hen. rizq mai izafa aur mulazmat k liye buht pur asar hai. agar ap rozana wese b parahai tu rizq mai izafa hota hai.

Ya Hafizo

6250 martaba rozana 40 din tak. hadsat, malo dolat ki hifazat neez har shar se mehfoz rehne k liye.

No comments:

Post a Comment